sae se hausle ke bidakte hain raste
aage baDhun to pichhe sarakte hain raste
aansu hazar TuT ke barsen to pi ke chup
ek qahqaha uDe to khanakte hain raste
samjho to ghar se ghar ka talluq unhi se hai
dekho to be-maqam bhaTakte hain raste
daman mein un ke panw ke aise nishan bhi hain
rah rah ke jin ke dam se damakte hain raste
taron ki chhanw narm hai sun leti hai pukar
din bhar ki dhup mein jo bilakte hain raste
rahe chalen jo hum to chale aaen ye bhi sath
qadmon ki piTh par hi ThiTakte hain raste

Ghazal
Sae se hausle ke bidakte hain raste
Ram Parkash Rahi