sabir-o-shakir rahe shadan rahe
KHush rahe jis haal mein insan rahe
tum ko aaine mein kya aaya nazar
misl-e-aina jo tum hairan rahe
us mohabbat ka bura ho ishq mein
chaar din bhi to na hum shadan rahe
the wo husn-o-ishq ke raaz-o-niyaz
qaid zindan mein mah-e-kanan rahe
tum nahin ho to tumhaari yaad hai
KHana-e-dil kis liye viran rahe
qatl kar ke hum ko wahin munfail
aur hum sharminda-e-ehsan rahe
mai se tauba us ghaTa mein mohtasib
kyun farishta ban ke har insan rahe
khil ke kaliyan de rahi hain ye sabaq
aadmi kanTon mein bhi KHandan rahe
bagh mein do din ko aai hai bahaar
misl-e-shabnam koi kyun giryan rahe
mere sine mein jo the ulfat ke dagh
roz-e-raushan ki tarah taban rahe
kya haram kya dair hain jhagDon ke ghar
un se 'shankar' dur hi insan rahe

Ghazal
Sabir-o-shakir rahe shadan rahe
Shankar Lal Shankar