اردو हिंदी
Rup ka rasiya sukh ka khoji dil hai wo baalak nadan | Shaahi Shayari
rup ka rasiya sukh ka khoji dil hai wo baalak nadan

Ghazal

Rup ka rasiya sukh ka khoji dil hai wo baalak nadan

Krishna Kumar Toor

;

rup ka rasiya sukh ka khoji dil hai wo baalak nadan
dar dar ghume bana bhikari mange KHushiyon ka dan

jalti bujhti shamon se puchho raat ke sine ka dard
uDte pakheru batlaenge suraj ki har muskan

kaun chakhe ye pan ka biDa kaun chaDhae chilla
nas nas TuT TuT rah jae jiwan wo kaDi kaman

us ka jism hai jaise hawa mein machalte dhan ki baali
us ki shoKH kaTili nazren jaise arjun ke ban

kabhi kabhi to phul ki KHushbu bhi kar deti hai zukaam
kabhi kabhi to sharab bhi hoti hai jiwan ka wardan

mol-tol kab karte hain bhala dil si shai ke gahak
mahngi bike ya sasti uTThe hain donon ek saman

hum se bhi kuchh kah lo sun lo ai jaane wali raato
hum bhi to hain is duniya mein do ghaDiyon ke mehman