ruh ko rah-e-adam mein mera tan yaad aaya
dasht-e-ghurbat mein musafir ko watan yaad aaya
chuTkiyan dil mein mere lene laga naKHun-e-ishq
gul-badan dekh ke us gul ka badan yaad aaya
wahm hi wahm mein apni hui auqat basar
kamar-e-yar ko bhule to dahan yaad aaya
barg-e-gul dekh ke aankhon mein tere phir gae lab
ghuncha chaTka to mujhe lutf-e-suKHan yaad aaya
dar-ba-dar phir ke dila ghar ki hamein qadr hui
rah-e-ghurbat mein jo bhule to watan yaad aaya
aah kyun khench ke aankhon mein bhar aae aansu
kya qafas mein tujhe ai murgh-e-chaman yaad aaya
phir 'amanat' mera dil bhul gaya aish o tarab
phir mujhe rauza-e-sultan-e-zaman yaad aaya
Ghazal
Ruh ko rah-e-adam mein mera tan yaad aaya
Amanat Lakhnavi