ruh ko qaid kiye jism ke haalon mein rahe
log makDi ki tarah apne hi jalon mein rahe
jism ko aaina dikhlate hain sae warna
aadmi ke liye achchha tha ujalon mein rahe
waqt se pahle ho kyun zehn pe KHurshid ka bojh
raat baqi hai abhi chand piyalon mein rahe
phir to rahna hi hai ghure ka muqaddar ho kar
phul taza hai abhi reshmi baalon mein rahe
shauq hi hai to bahar-haal tamasha baniye
ye zaruri nahin wo dekhne walon mein rahe
ab calendar mein naya DhunDiye chehra 'shahid'
kab talak ek hi taswir KHayalon mein rahe

Ghazal
Ruh ko qaid kiye jism ke haalon mein rahe
Shahid Kabir