ruh ke zaKHm bhar raha hai kaun
mere andar utar raha hai kaun
main to zinda hun apne lahje mein
lamha lamha ye mar raha hai kaun
log shisha-sifat nahin hain magar
reza reza bikhar raha hai kaun
pattharon ke kaleje phaTne lage
subh-dam aah bhar raha hai kaun
sab charaghon ke sar salamat hain
phir andheron se Dar raha hai kaun
dahriye sirf itna batla den
rang phulon mein bhar raha hai kaun
Ghazal
Ruh ke zaKHm bhar raha hai kaun
Azm Shakri

