اردو हिंदी
Ruh ke jalte KHarabe ka mudawa bhi nahin | Shaahi Shayari
ruh ke jalte KHarabe ka mudawa bhi nahin

Ghazal

Ruh ke jalte KHarabe ka mudawa bhi nahin

Arif Abdul Mateen

;

ruh ke jalte KHarabe ka mudawa bhi nahin
dard wo baadal hai jo khul kar barasta bhi nahin

shahr ke zindan ne pahna din wo zanjiren mujhe
meri wahshat ko mayassar dil ka sahra bhi nahin

jis mein bah jae safine ki tarah mera wajud
meri aankhon se rawan gham ka wo dariya bhi nahin

karb ka suraj siwa neze pe hai Thahra hua
dil mera hai barf-zar aisa pighalta bhi nahin

mujh ko yakjai ki hasrat se bhala kya wasta
main to ji bhar kar sar-e-afaq bikhra bhi nahin

muddaton dar par mere wo dastaken deta raha
main magar wo nind ka mata ki chaunka bhi nahin