اردو हिंदी
Rudad-e-shauq ye hai meri muKHtasar tamam | Shaahi Shayari
rudad-e-shauq ye hai meri muKHtasar tamam

Ghazal

Rudad-e-shauq ye hai meri muKHtasar tamam

Bakhtiyar Ziya

;

rudad-e-shauq ye hai meri muKHtasar tamam
ranaiyon mein kho gaya zauq-e-nazar tamam

guzra hai gul-badan koi meri talash mein
mahki hui hai aaj meri rahguzar tamam

wo din bhi kya the jab thi hawaon se guftugu
ab hum se baat karte hain diwar-o-dar tamam

KHud apna ehtisab gawara nahin unhen
auron mein aib DhunDte hain dida-war tamam

tanhaiyan nasib ka unwan ban gain
ek ek kar ke chhuT gae ham-safar tamam

hone lage hain meri KHamoshi pe tabsire
ab jaan le ke chhoDenge ye chaaragar tamam

kya soch kar chale the 'ziya' rah-e-shauq mein
shayad na ho sake ye safar umr-bhar tamam