rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
do din ki masarrat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein
ek hosh ki saat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
ab waqt ke nazuk honTon par majruh tarannum raqsan hai
bedad-e-mashiyyat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
ehsas ke mai-KHane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qindilen
aalam ki shiddat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
kuchh haal ke andhe sathi the kuchh mazi ke ayyar sajan
ahbab ki chahat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
kanTon se bhara hai daman-e-dil shabnam se sulagti hain palken
phulon ki saKHawat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
ab apni haqiqat bhi 'saghar' be-rabt kahani lagti hai
duniya ki haqiqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
Ghazal
Rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
Saghar Siddiqui