ru-posh aankh se koi KHushbu libas hai
go dur dur sa hai magar aas-pas hai
ye sun ke regzar ke honTon pe pyas hai
dariya ki be-ruKHi pe samundar udas hai
sham-e-awadh ne zulf mein gundhe nahin hain phul
tere baghair subh-e-banaras udas hai
khati wagarna Thokaren chahat kahan kahan
data mera baDa hi tamanna-shanas hai
rahbar bana hua hai jo saya qadam qadam
partaw tera hi mere kahin aas-pas hai
yarab hamare jazba-e-dida-wari ki KHair
jo phul hai chaman mein wo shabnam libas hai

Ghazal
Ru-posh aankh se koi KHushbu libas hai
Ram Awtar Gupta Muztar