اردو हिंदी
Ru-e-gul chehra-e-mahtab nahin dekhte hain | Shaahi Shayari
ru-e-gul chehra-e-mahtab nahin dekhte hain

Ghazal

Ru-e-gul chehra-e-mahtab nahin dekhte hain

Anees Ashfaq

;

ru-e-gul chehra-e-mahtab nahin dekhte hain
hum teri tarah koi KHwab nahin dekhte hain

sina-e-mauj pe kashti ko rawan rakhte hain
gird apne koi gardab nahin dekhte hain

tishnagi mein bhi wo paband-e-qanaat hain ki hum
bhul kar bhi taraf-e-ab nahin dekhte hain

sar bhi maujud hain shamshir-e-sitam bhi maujud
shahr mein KHun ka sailab nahin dekhte hain

aa gae hain ye mere shahr mein kis shahr ke log
guftugu mein adab-adab nahin dekhte hain

aana jaana unhin galiyon mein abhi tak hai magar
ab wahan majma-e-ahbab nahin dekhte hain

kis chaman mein hain ki mausam to gulon ka hai magar
ek bhi shaKH ko shadab nahin dekhte hain

is pe hairan hain KHaridar ki qimat hai bahut
mere gauhar ki tab-o-tab nahin dekhte hain

ho gae sare bala-KHez samundar payab
ab safina koi gharqab nahin dekhte hain