ru-ba-ru gham ke ye taqdir kahan se aai
aur hatheli ki ye tahrir kahan se aai
dil ke goshe mein jise main ne chhupa rakkha tha
tere album mein wo taswir kahan se aai
dabi KHwahish ka tha izhaar-e-tamasha goya
KHwab tha KHwab ye tabir kahan se aai
fan ko maidan khula chahiye jine ke liye
raqs ki rah mein zanjir kahan se aai
zindagi ke abhi aasar hain baqi warna
daur-e-taKHrib mein tamir kahan se aai
DhunDne nikle the hum maut ke mani lekin
zindagi ki nai tafsir kahan se aai
is ko aadam hi ki taqsir ka samra kahiye
warna jannat ki ye jagir kahan se aai
waqt ka sail 'karamat' tujhe le Duba tha
yak-ba-yak ye teri tadbir kahan se aai
Ghazal
Ru-ba-ru gham ke ye taqdir kahan se aai
Karamat Ali Karamat