اردو हिंदी
Ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai | Shaahi Shayari
ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai

Ghazal

Ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai

Kamil Akhtar

;

ruton ke rang badalte hue bhi banjar hai
wo ek KHas ilaqa jo dil ke andar hai

ghaDi ghaDi meri aaankhon mein uD rahi hai dhul
sadi sadi ka meri rah mein samundar hai

bujha bujha hua rahta hun apne KHwabon mein
dhuan dhuan sa mere jagne ka manzar hai

ajib KHwab sa dekha ki pure dariya mein
koi jahaz kahin hai na koi langar hai

badan pe TuT bikharne ko hai kahin na kahin
hiras-o-KHauf ka saya jo mere sar par hai

main kis ki khoj mein yun hi bita raha hun janm
chhupa hua mere sae mein kis ka paikar hai

suna rahi hai hawa apne hi safar-name
ajib shor ghane jangalon ke andar hai