ruKHsat-e-yar ka mazmun ba-mushkil bandha
dil na bandhta tha kisi taur baDa dil bandha
hum ne bhi bandh liya zist ka asbab wahin
jab suna yar-e-safar-dar ne mahmil bandha
hum ne us chehre ko bandha nahin mahtab-misal
hum ne mahtab ko us ruKH ke mumasil bandha
aur kya bandhte saman mein ba-hangam-e-safar
sirf daman mein KHas-e-kucha-e-qatil bandha
hum jo har gam se paiman-e-wafa bandhte the
aaKHirash hum ne bhi azm-e-sar-e-manzil bandha
Ghazal
RuKHsat-e-yar ka mazmun ba-mushkil bandha
Iftikhar Mughal