ruKH pe yun jhum kar wo laT jae
KHizr dekhe to umr kaT jae
us nazare se kya bache koi
jo nigahon se KHud lipaT jae
ye bhi andher hum ne dekha hai
raat ek zulf mein simaT jae
jaane tujh se udhar bhi kya kuchh hai
kash tu samne se haT jae
maut ne khel hum ko jaana hai
kabhi aae kabhi palaT jae
Dubne tak mein na-umid nahin
kab na jaane hawa palaT jae
raat guzre na dard-e-dil Thahre
kuchh to baDh jae kuchh to ghaT jae
un se kah kar bhi dekh len gham-e-dil
'saif' ye kaam bhi nipaT jae

Ghazal
RuKH pe yun jhum kar wo laT jae
Saifuddin Saif