ruKH pe ahbab ke phir rang-e-musarrat aae
phir meri samt koi sang-e-malamat aae
teri rahmat ka bharam TuT raha hai shayad
aaj aankhon mein meri ashk-e-nadamat aae
waqt shahid hai ki har daur mein isa ki tarah
hum salibon pe liye apni sadaqat aae
husn hai un mein tera mere junun ka andaz
phul bhi le ke ajab shakl o shabahat aae
daur-e-ishrat ne sanware hain ghazal ke gesu
fikr ke pahlu magar gham ki badaulat aae
Ghazal
RuKH pe ahbab ke phir rang-e-musarrat aae
Malikzada Manzoor Ahmad