ruKH hawaon ke kisi samt hon manzar hain wahi
Topiyan rang badalti hain magar sar hain wahi
jin ke ajdad ki mohren dar-o-diwar pe hain
kya sitam hai ki bhare shahr mein be-ghar hain wahi
phul hi phul the KHwabon mein sar-e-wadi-e-shab
subh-dam rahon mein jalte hue patthar hain wahi
naw kaghaz ki chali kaTh ke ghoDe dauDe
shoabda-bazi ke sach puchho to daftar hain wahi
bik gae pichhle dinon sahib-e-alam kitne
hum faqiron ke magar 'jafari' tewar hain wahi
Ghazal
RuKH hawaon ke kisi samt hon manzar hain wahi
Fuzail Jafri

