ruKH-e-raushan dikhaiye sahab
shama ko kuchh jalaiye sahab
ruh ho kar samaiye sahab
mere qalib mein aaiye sahab
shaiKH-ji ho tumhein surud haram
aap apni na gaiye sahab
wasl ki shab qarib aai hai
ab na mehndi lagaiye sahab
KHun-e-ushshaq hai maani mein
shauq se pan khaiye sahab
main tajalli-e-tur dekhunga
aaj koThe pe aaiye sahab
aap dil mein bigaD rakhte hain
bas na baaten banaiye sahab
chashm-e-tar rone par hai aamada
aur sukhi sunaiye sahab
bosa-e-ruKH to chahte ho 'saKHi'
kahin munh ki na khaiye sahab

Ghazal
RuKH-e-raushan dikhaiye sahab
Sakhi Lakhnvi