ruKH apna aaina mujh ko bana ke dekh liya
meri nigah ke parde mein aa ke dekh liya
jo dost the unhen dushman bana ke dekh liya
zaban pe dil ki tamanna ko la ke dekh liya
haqiqat-e-gham-e-hasti ke naqsh miT na sake
tilism-KHana-e-arman bana ke dekh liya
wo be-KHabar mere soz-e-jigar se phir bhi nahin
har ek nigah pe parda gira ke dekh liya
unhen qubul nahin ishq-e-raegan apna
qadam qadam pe nigahen bichha ke dekh liya
ab aur is se siwa chahte ho kya 'mulla'
ye kam hai us ne tumhein muskura ke dekh liya
Ghazal
RuKH apna aaina mujhko bana ke dekh liya
Anand Narayan Mulla

