roz ek KHwab-e-musalsal aur main
raat bhar yaadon ka jangal aur main
hath koi bhi sahaare ko nahin
panw ke niche hai daldal aur main
sochta hun shab guzarun ab kahan
ghar ka darwaza muqaffal aur main
har qadam tarikiyan hain ham-rikab
ab koi jugnu na mishal aur main
hai har ek pal KHauf raqsan maut ka
chaar-su hai shor-e-maqtal aur main
sher kahna ab 'rais' aasan nahin
samne ek chehra mohmal aur main

Ghazal
Roz ek KHwab-e-musalsal aur main
Raeesuddin Raees