roz gire ek KHwab-e-imarat malbe mein dab jaun
sadiyon ki diwaren fandun lamhe mein dab jaun
kabhi kabhi sahraon ko bhi band karun muTThi mein
aur kabhi ek ret ke adna zarre mein dab jaun
main to KHud ek peD ghana hun ye hai kaise mumkin
chhoTe moTe paudon ke main sae mein dab jaun
aisa bhi ho jae aksar waisa bhi ho jae
sailabon ka rasta rokun qatre mein dab jaun
mere nam ka nun 'munawar' asl mein ek muamma
lakhon sharhon mein ubhrun ek nukte mein dab jaun
Ghazal
Roz gire ek KHwab-e-imarat malbe mein dab jaun
Munawwar Hashmi

