اردو हिंदी
Roti hui aankhon ka wo manzar nahin dekha | Shaahi Shayari
roti hui aankhon ka wo manzar nahin dekha

Ghazal

Roti hui aankhon ka wo manzar nahin dekha

Fakhr Abbas

;

roti hui aankhon ka wo manzar nahin dekha
chhoD aae to phir hum ne palaT kar nahin dekha

kuchh wo bhi samajhne ka takalluf nahin karte
kuchh hum ne zaban se kabhi kah kar nahin dekha

shayad usi kamyab ko kahte hain tabassum
hum ne tere chehre pe jo aksar nahin dekha

hum husn ba-andaz-e-hasin dekhne wale
sach baat hai tujh sa koi paikar nahin dekha

is zaKHm ka zalim ko to ehsas bahut hai
jis zaKHm ko hum ne kabhi gin kar nahin dekha

hum ko to sar-e-hashr thi ek aur kasak bhi
jate hue hum ne ruKH-e-dilbar nahin dekha