اردو हिंदी
Rota hun qadr-dan-e-mata-e-hunar ko main | Shaahi Shayari
rota hun qadr-dan-e-mata-e-hunar ko main

Ghazal

Rota hun qadr-dan-e-mata-e-hunar ko main

Ishrat Qadri

;

rota hun qadr-dan-e-mata-e-hunar ko main
laun kahan se DhunDh ke us dida-war ko main

sad hasil-e-tarab hai rifaqat ki ye ghaDi
wo mujh ko dekhte hain charagh-e-sahar ko main

muddat hui hai chaak-e-gareban siye hue
karta hun yaad mausam-e-diwana-gar ko main

lab par hain zindagi ki duaen bahar-nafas
mayus pa raha hun masiha nazar ko main

dekha hai tum ne kucha-e-dildar mein use
pahchanta hun 'ghaalib'-e-ashufta-sar ko main