rose jo marta hai is ko aadmi likkho kabhi
tirgi ke bab mein bhi raushni likkho kabhi
sans lena bhi muqaddar mein nahin jis ahd mein
baiTh kar us ahd ki bhi an-kahi likkho kabhi
dard-e-dil dard-e-jigar ki dastan likkhi bahut
nan-e-KHushk-o-ab-e-kam ko zindagi likkho kabhi
maslahat par bhi kabhi hote rahe qurban usul
in usulon ko bhi un ki dil-lagi likkho kabhi
gar sameTe ja rahe ho kaam jo karne ke the
us ko 'rahat' saaton ki aagahi likkho kabhi
Ghazal
Rose jo marta hai isko aadmi likkho kabhi
Ameen Rahat Chugtai