اردو हिंदी
Ro ro ke bayan karte phiro ranj-o-alam KHub | Shaahi Shayari
ro ro ke bayan karte phiro ranj-o-alam KHub

Ghazal

Ro ro ke bayan karte phiro ranj-o-alam KHub

Ajmal Siddiqi

;

ro ro ke bayan karte phiro ranj-o-alam KHub
hasil nahin kuchh bhi jo na ho rang-e-qalam KHub

bazar mein ek chiz nahin kaam ki mere
ye shahr meri jeb ka rakhta hai bharam KHub

manzil to kisi KHas ko hi milti hai, warna
dekhe to sabhi ne hain mere naqsh-e-qadam KHub

ye Thik hai rishte mein bandha rahta hai ab dil
is kabe mein hota tha kabhi jashn-e-sanam KHub