ro lete the hans lete the bas mein na tha jab apna ji
tum ne hamein diwana kiya hai aisi to koi baat na thi
ab ye tumhaara kaam ki jaano hum parwane the ya dip
din bita to jalte jalte jalte jalte raat kaTi
gulshan gulshan mahfil mahfil ek hi qissa ek hi baat
zalim duniya jabir duniya jaane ye kab badlegi
lapke kitne hath na jaane un ke sajile daman par
kal tak the hum chaak-gareban un se puchhe aaj koi
hum hain mashal wale pahle hum se do do hath karo
phir bikhra lena andhiyara nagar nagar basti basti
tum ho aag to hum pani hain tum ho dhup to hum chhanw
apna tumhaara sath hi kya hum parja tum raja ji
gali gali mein KHun ke dhabbe Dagar Dagar pe rakh ke Dher
jashn manane wale yaro ek 'nazar' is jaanib bhi
Ghazal
Ro lete the hans lete the bas mein na tha jab apna ji
Zuhoor Nazar