ro chale chashm se girya ki riyazat kar ke
aankhen be-nur hain yusuf ki ziyarat kar ke
dil ka ahwal to ye hai ki ye chup-chap faqir
lag ke diwar se baiTha tujhe ruKHsat kar ke
itna aasan nahin pani se shabihen dhona
KHud bhi roega musawwir ye qayamat kar ke
sarfaraazi use baKHshi hai jahan ne mutlaq
dar tak pahuncha agar koi bhi himmat kar ke
Ghazal
Ro chale chashm se girya ki riyazat kar ke
Ali Akbar Natiq