riwaj-o-rasm ka us ko hunar bhi aata hai
mujhe bulata bhi hai mere ghar bhi aata hai
badan ka husn damakta hai raat andhere mein
ek aaftab-e-sahar be-sahar bhi aata hai
judaiyon mein faqat ghar se duriyan to nahin
firaq surat-e-diwar-o-dar bhi aata hai
mohabbaton mein ghula jism yaad hai mujh ko
kabhi raqib mera mere ghar bhi aata hai
tere KHayal mein tere jamal ka partaw
misal-e-mauj bhi misl-e-guhar bhi aata hai
faqat KHulus mein shiddat ki baat hai yani
maqam dil mein hai aur be-safar bhi aata hai
KHuda ne husn diya hai tujhe kamal magar
use sajaane ka tujh ko hunar bhi aata hai
ye kaun hai ki kahin baiThne nahin deta
uThun to sath mere dar-ba-dar bhi aata hai
'munir' subh ke Dhalte hi lau lagi chalne
azab surat-e-baad-e-sahar bhi aata hai

Ghazal
Riwaj-o-rasm ka usko hunar bhi aata hai
Syed Muneer