rishte se muhafiz ka KHatra jo nikal jata
manzil pe bhi aa jate naqsha bhi badal jata
is jhuT ki daldal se bahar bhi nikal aate
duniya mein bhi sar uThta aur ghar bhi sambhal jata
hanste hue buDhon ko qisse kai yaad aate
rote hue bachchon ka rona bhi bahal jata
kyun apne pahaDon ke sinon ko jalate hum
KHatra to mohabbat ke ek phul se Tal jata
is shahr ko ras aai hum jaison ki gum-nami
hum nam batate to ye shahr bhi jal jata
wo sath na deta to wo dad na deta to
ye likhne-likhane ka jo bhi hai KHalal jata
Ghazal
Rishte se muhafiz ka KHatra jo nikal jata
Zehra Nigaah