rishta bahaal kash phir us ki gali se ho
ji chahta hai ishq dobara usi se ho
anjam jo bhi ho mujhe is ki nahin hai fikr
aaghaz-e-dastan-e-safar aap hi se ho
KHwahish hai pahunchun ishq ke main us maqam par
jab un ka samna meri diwangi se ho
kapDon ki wajh se mujhe kam-tar na aankiye
achchha ho meri jaanch-parakh shaeri se ho
ab mere sar pe sab ko hansane ka kaam hai
main chahta hun kaam ye sanjidgi se ho
duniya ke sare kaam to karna dimagh se
lekin jab ishq ho to 'sikanndar' wo ji se ho
Ghazal
Rishta bahaal kash phir uski gali se ho
Irshad Khan ’Sikandar’