rindon ko tere aarzu-e-KHushk-labi hai
ab ai nigah-e-mast tu kya DhunD rahi hai
mansuKH hai is daur mein har rasm-e-gireban
ab mashghala-e-ahl-e-junun sina-zani hai
shahzada-e-mani koi aae to jagae
shaer ka taKHayyul bhi to KHwabida pari hai
muddat se thi aawara wo pahnae-faza mein
KHak-e-rah-e-anjum jo mere sar pe paDi hai
har KHar hai ghaltida-ba-KHun dasht-e-wafa mein
ai sang-e-rah-e-yar kise Thes lagi hai

Ghazal
Rindon ko tere aarzu-e-KHushk-labi hai
Shamsur Rahman Faruqi