اردو हिंदी
Rit tanhai fasla sahra | Shaahi Shayari
rit tanhai fasla sahra

Ghazal

Rit tanhai fasla sahra

Rauf Khalish

;

rit tanhai fasla sahra
kaun si bhuk de gaya sahra

us ki aankhon mein bolti nadiyan
mere kanon mein gunjta sahra

badliyon ne laTen nichoDi thin
pyasa pyasa magar raha sahra

sabz shadabiyon ke badle mein
kaun qismat mein likh gaya sahra

bain karti hawa muqayyad hai
shahr-e-matam hai zat ka sahra