rit par jitne bhi nawishte hain
apne mahaul ke mujalle hain
kaun jaane kahan dafine hain
apne to pas sirf naqshe hain
suraten chhin le gaya koi
is baras aaine akele hain
KHwab, KHushbu, KHayal, aur KHadshe
ek diwar sau dariche hain
dosti ishq aur wafadari
saKHt jaan mein bhi narm goshe hain
paDh sako to kabhi paDho un ko
shaKH-dar-shaKH bhi sahife hain
jugnuon ke paron se likkhe hue
jangalon mein kai jaride hain
Ghazal
Rit par jitne bhi nawishte hain
Sheen Kaaf Nizam