ret par ek nishan hai shayad
ye hamara makan hai shayad
shor ke bich so rahi hai zamin
muddaton ki thakan hai shayad
dard ka ishtihaar chaspan hai
zindagi ki dukan hai shayad
tanha tanha nikal paDe panchhi
ahd-e-nau ki uDan hai shayad
aql kahti hai mar chuka rishta
shauq kahta hai jaan hai shayad
wo jahan par pighal rahi hai dhup
han wahin saeban hai shayad
aaj wo muskura ke milte hain
aaj phir imtihan hai shayad
Ghazal
Rit par ek nishan hai shayad
Muzaffar Abdali