rawan hai nur ka ek sail har-bun-e-mu se
mujhe chhua hai kisi ne hazar pahlu se
badal ke rakh diya jangal ko shahr mein us ne
tamam dasht pareshan hai ek aahu se
KHuda ke waste ab rok bhi ye raqs-e-junun
sada kuchh aur hi aane lagi hai ghunghru se
unhen main waqt ke kandhe pe Dal deta hun
jo bojh uThte nahin mere dast o bazu se
har ek ahd ne likkha hai apna nama-e-shauq
kisi ne KHun se likha hai kisi ne aansu se
mera sawal ghazal ke muKHalifin se hai
mujhe nikal ke dikha den ghazal ke jadu se

Ghazal
Rawan hai nur ka ek sail har-bun-e-mu se
Khurshid Talab