raste lapeT kar sabhi manzil pe lae hain
khoe safar hi bandh ke sahil pe lae hain
pahle to DhunDh-DhanDh ke lae wajud ko
aur phir hanka ke zat ko mahmil pe lae hain
uThti hai har furaat mein ek mauj-e-iztirab
jab bhi wo karwan rah-e-qatil pe lae hain
sahil ki ret se kabhi jis ki bani nahin
us ko samundaron ke muqabil pe lae hain
dil Dar gaya tha wasl ki hiddat ko soch kar
izn-e-KHayal ko rah-e-kaamil pe lae hain

Ghazal
Raste lapeT kar sabhi manzil pe lae hain
Saeed Naqvi