rasman hi un ko nala-e-dil ki KHabar to ho
yani asar na ho to fareb-e-asar to ho
hum bhi tumhaari bazm mein hain dar-KHur-e-karam
achchha wo mustaqil na sahi ek nazar to ho
kya farz hai ki hum na hon taqdir-azma
duniya paDi hui hai dar-e-yar par to ho
sab kah rahe hain hum pe giran hai shab-e-firaq
is ka bhi kuchh ilaj karenge sahar to ho
'simab' aadhi raat ko aaen wo be-qarar
teri dua-e-nim-shabi mein asar to ho
Ghazal
Rasman hi un ko nala-e-dil ki KHabar to ho
Seemab Akbarabadi

