rasm-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo
dosti ke bab mein dil ka kaha mana karo
ek dhima sa tabassum rasm hi si ban gaya
dosto apne parae ko to pahchana karo
raushni ka qaht hai par fikr-e-farda kis liye
KHun ki tanwir se raushan siyah-KHana karo
chhoTi-moTi baat ho to jins-e-gham dete raho
jurm ho sangin to KHushiyon ka jurmana karo
rasm-e-shabbiri dawam-e-zist hai sultan-'rashk'
zist karni hai agar to sarfaroshana karo
Ghazal
Rasm-e-duniya jaan kar hargiz na yarana karo
Sultan Rashk

