ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani
sainkaDon Dub gae phir bhi hai itna pani
aankh se bah nahin sakta hai bharam ka pani
phuT bhi jaega chhaala to na dega pani
chah mein paun kahan aas ka miTha pani
pyas bhaDki hui hai aur nahin milta pani
dil se lauka jo uTha aankh se Tapka pani
aag se aaj nikalte hue dekha pani
kis ne bhige hue baalon se ye jhaTka pani
jhum kar aai ghaTa TuT ke barsa pani
phailti dhup ka hai rup laDakpan ka uThan
dopahar Dhalte hi utrega ye chaDhta pani
TikTiki bandhe wo takte hain main is ghat mein hun
kahin khane lage chakkar na ye Thahra pani
koi matwali ghaTa thi ki jawani ki umang
ji baha le gaya barsat ka pahla pani
hath jal jaega chhaala na kaleje ka chhuo
aag muTThi mein dabi hai na samajhna pani
ras hi ras jin mein hai phir sail zara si bhi nahin
mangta hai kahin un aankhon ka mara pani
na sata us ko jo chup rah ke bhare ThanDi sans
ye hawa karti hai patthar ka kaleja pani
ye pasina wahi aansu hain jo pi jate the hum
'arzu' lo wo khula bhed wo TuTa pani
Ghazal
Ras un aankhon ka hai kahne ko zara sa pani
Arzoo Lakhnavi