ras mein Duba hua lahraata badan kya kahna
karwaTen leti hui subh-e-chaman kya kahna
nigah-e-naz mein ye pichhle pahar rang-e-KHumar
nind mein Dubi hui chandr-kiran kya kahna
bagh-e-jannat pe ghaTa jaise baras ke khul jae
ye suhani teri KHushbu-e-badan kya kahna
Thahri Thahri si nigahon mein ye wahshat ki kiran
chaunke chaunke se ye aahu-e-KHutan kya kahna
rup sangit ne dhaara hai badan ka ye rachaw
tujh pe lahlut hai be-saKHta-pan kya kahna
jaise lahrae koi shoala-kamar ki ye lachak
sar-ba-sar aatish-e-sayyal badan kya kahna
jis tarah jalwa-e-firdos hawaon se chhine
pairahan mein tere rangini-e-tan kya kahna
jalwa-o-parde ka ye rang dam-e-nazzara
jis tarah adh-khule ghunghaT mein dulhan kya kahna
dam-e-taqrir khil uThte hain gulistan kya kya
yun to ek ghuncha-e-nauras hai dahan kya kahna
dil ke aaine mein is tarah utarti hai nigah
jaise pani mein lachak jae kiran kya kahna
lahlahata hua ye qad ye lahakta joban
zulf so mahki hui raaton ka ban kya kahna
tu mohabbat ka sitara to jawani ka suhag
husn lau deta hai lal-e-yaman kya kahna
teri aawaz sawera teri baaten taDka
aankhen khul jati hain ejaz-e-suKHan kya kahna
zulf-e-shab-gun ki chamak paikar-e-simin ki damak
dip-mala hai sar-e-gang-o-jaman kya kahna
nilgun shabnami kapDon mein badan ki ye jot
jaise chhanti ho sitaron ki kiran kya kahna
Ghazal
Ras mein Duba hua lahraata badan kya kahna
Firaq Gorakhpuri