raqs yak nur kabhi sail-e-bala dekhta hun
zehn par chhai hui dhund mein kya dekhta hun
tujh ko mahdud KHad-o-KHal mein kar rakkha hai
main kahan tujh ko abhi tere siwa dekhta hun
narm miTTi se uThe hain wo kunware jazbaat
jin ko pahne hue phulon ki qaba dekhta hun
aankh hail hai teri did mein achchha hoga
aaj ye aaKHiri parda bhi uTha dekhta hun
kyun na us parda-nashin ko ho takallum mein hijab
main to aawaz ko bhi chehra-numa dekhta hun
main wo kafir hun ki is zulmat-e-dil ke hathon
har chamakte hue chehre mein KHuda dekhta hun
phir koi kunj-e-aman dasht-e-suKHan mein 'sahba'
aaj phir dil ko pareshan-e-nawa dekhta hun

Ghazal
Raqs yak nur kabhi sail-e-bala dekhta hun
Sahba Akhtar