raqs karte mastiyon ke sainkaDon aalam gae
mahfil-e-jam ban gai jis anjuman mein hum gae
har alam se har bala se mil gai dil ko najat
jab se tera gham mila hai apne sare gham gae
aa gai kya jaaniye phir kis masiha-dam ki yaad
dard-e-paiham ruk gaya ashk-e-musalsal tham gae
chha gain rindan-e-mahfil par bala ki mastiyan
bazm mein jis samt chhalkate wo jam-e-jam gae
kaun kahta hai faza-e-dahr ab barham nahin
kaun kahta hai teri zulfon ke pech-o-KHam gae
tha wo takiya hum faqiron ka hi ai hamdam jahan
jubba-sai ko hazaron akbar-e-azam gae
rah gae aghyar sab hairan-o-shashdar ai 'umid'
is ada se aaj un ki anjuman mein hum gae

Ghazal
Raqs karte mastiyon ke sainkaDon aalam gae
Raghunath Sahai