raqs-e-sharar kya ab ke wahshat-nak hua
jalte jalte sab kuchh jal kar KHak hua
sab ko apni apni paDi thi puchhte kya
kaun wahan bach nikla kaun halak hua
mausam-e-gul se fasl-e-KHizan ki duri kya
aankh jhapakte sara qissa pak hua
kin rangon is surat ki tabir karun
KHwab-nadi mein ek shola pairak hua
nadan ko aaina hi ayyar kare
KHud mein ho kar wo kaisa chaalak hua
tariki ke raat azab hi kya kam the
din nikla to suraj bhi saffak hua
dil ki aankhen khol ke rah chalo 'mahfuz'
dekho kya kya aalam zer-e-KHak hua
Ghazal
Raqs-e-sharar kya ab ke wahshat-nak hua
Ahmad Mahfuz