raqs-e-nairangi hai nazzaron ke bich
ji raha hun shoabada-karon ke bich
ek duniya ko hai luT jaane ka Dar
ek hum hain luT gae yaron ke bich
shikwa-e-jaur-o-jafa kis se karun
pyar se mahrum hun pyaron ke bich
mulk-o-millat qaum-o-mazhab dosto
kya nahin bikta KHaridaron ke bich
azmat-e-hawwa ka ek aur aaina
ho gaya nilam bazaron ke bich
asl rishta to zamin se hai mera
yaad aaya mujh ko sayyaron ke bich
shauq-e-KHud-arai ke hathon hua
ek hayula qaid diwaron ke bich
ya-ilahi rahm karna aaj wo
aa gae chal ke talab-garon ke bich
mere dam se hi hui hai raushni
dasht-o-sahra aur kohsaron ke bich
ai bahaar-e-abr-e-nau jaldi baras
jal rahe hain KHwab angaron ke bich
mujh mein hai maujud parwaz-e-'KHayal'
mo'atabar hun main bhi fankaron ke bich
Ghazal
Raqs-e-nairangi hai nazzaron ke bich
Rafique Khayal

