اردو हिंदी
Raqib-e-jaan nazar ka nur ho jae to kya kije | Shaahi Shayari
raqib-e-jaan nazar ka nur ho jae to kya kije

Ghazal

Raqib-e-jaan nazar ka nur ho jae to kya kije

Ameeta Parsuram ‘Meeta’

;

raqib-e-jaan nazar ka nur ho jae to kya kije
ziyan dil ko agar manzur ho jae to kya kije

wafa karne se wo majbur ho jae to kya kije
mohabbat ruh ka nasur ho jae to kya kije

wahi charche wahi qisse mili ruswaiyan hum ko
unhi qisson se wo mashhur ho jae to kya kije

zamane se gila kaisa jab apne jism ka saya
andhere mein hamin se dur ho jae to kya kije

KHuda ko itna chahun to KHuda ho jaega raazi
magar wo aur bhi maghrur ho jae to kya kije

munawwar jis ke dam se thin hamari zindagi 'mita'
wahi mahtab gar mastur ho jae to kya kije