اردو हिंदी
Ranj-o-malal-o-gham se kisi ko mafar nahin | Shaahi Shayari
ranj-o-malal-o-gham se kisi ko mafar nahin

Ghazal

Ranj-o-malal-o-gham se kisi ko mafar nahin

Shola Kararvi

;

ranj-o-malal-o-gham se kisi ko mafar nahin
aazad qaid-e-fikr se koi bashar nahin

dil mein lagi hai aag jigar par asar nahin
ye dard aur hai jo idhar hai udhar nahin

zarre mein kaise wusat-e-kaunain aa gai
KHud apni mardumak pe hamari nazar nahin

khanke na un ki bazm ka saghar koi magar
apni shikast shisha-e-dil ki KHabar nahin

dam-bhar ka fasla hai hayat-o-mamat mein
manzil koi ab us se siwa muKHtasar nahin

hichki shab-e-firaq ki kuchh kah rahi hai aur
yani hamari yaad se wo be-KHabar nahin

piri mein KHwab dekh raha hun shabab ke
jaise abhi hai raat numud-e-sahar nahin

qaid-e-sujud-e-dair-o-haram phir hai kya zarur
wo la-makan hai us ka koi sang-e-dar nahin

main dekhta hun sanat-e-sanna-e-rozgar
dekhun tumhein ye apna mazaq-e-nazar nahin

marne ke baad hoti hai mahsus ab kami
bazm-e-adab mein 'shoala' tahammul digar nahin