ranj-o-alam se mohabbat hai
sai-e-nakaam se mohabbat hai
zindagi-bhar na ho sahar jis ki
hum ko us sham se mohabbat hai
kya KHatar gardish-e-falak se hamein
gardish-e-jam se mohabbat hai
baada sahba sharab se darad
aise har nam se mohabbat hai
baada-o-jam se mohabbat thi
baada-o-jam se mohabbat hai
har ghaDi dil mein yaad hai un ki
bas usi nam se mohabbat hai
un mein shan-e-KHuda hai jalwa-fagan
hum ko asnam se mohabbat hai
dushman-e-jaan hai ye mohabbat bhi
said ko dam se mohabbat hai
qadr-e-isar kya wo samjhenge
jin ko anjam se mohabbat hai
us ki tashrih kya ho ai 'sahir'
dard-e-be-nam se mohabbat hai

Ghazal
Ranj-o-alam se mohabbat hai
Sahir Hoshiyarpuri