ranj hai us ranj se hum ko to gham us gham se hai
jo shikayat hum ko un se hai wo un ko hum se hai
kya paDi hai phir kisi ke waste rota hai kyun
aabru-e-ishq apne dida-e-pur-nam se hai
jhuTe munh koi tasalli bhi nahin deta kabhi
phir ye kyun sahab salamat apni ek aalam se hai
dushmanon ka do hi din mein sab bharam khul jaega
un ki sari shan-o-shaukat ek mere dam se hai
hath joDe minnaten kin KHair wo to man gae
aur logon ko bhi ab aisi tamanna hum se hai
is mazaq-e-KHas ke bhi log dekhe hain kahin
aap ki bhi jaan-pahchan aaKHir ek aalam se hai
sab safi' ki aah-e-pur-be-saKHta kahte hain wah
us ka rona bhi magar kuchh tal se hai sam se hai

Ghazal
Ranj hai us ranj se hum ko to gham us gham se hai
Safi Aurangabadi