اردو हिंदी
Rangon ki pahchan nahin kar sakta tha | Shaahi Shayari
rangon ki pahchan nahin kar sakta tha

Ghazal

Rangon ki pahchan nahin kar sakta tha

Mohammad Mustahsan Jami

;

rangon ki pahchan nahin kar sakta tha
tujh jaisa insan nahin kar sakta tha

main ne itne kaam kiye hain fursat mein
pura pakistan nahin kar sakta tha

ek faqir ki aah ne wo bhi kar Dala
jo shahi farman nahin kar sakta tha

ashkon se shadab rahin teri aankhen
main jin ko viran nahin kar sakta tha

apna aap bata sakta tha puchhne par
bas KHud ko aasan nahin kar sakta tha