rang uD kar raunaq-e-taswir aadhi rah gai
gham ghalat karne ki ye tadbir aadhi rah gai
dekhne walon ki aankhon se nihan ek ruKH raha
puri khinch kar bhi meri taswir aadhi rah gai
mujh se miad-e-asiri kya karoge puchh kar
dida-war ho jaanch lo zanjir aadhi rah gai
hosh tha wahshat mein to sahra-nawardi ka mujhe
be-KHudi mein gardish-e-taqdir aadhi rah gai
kahte hain is mein hai saz-e-husn par hai soz-e-ishq
dekh kar gul-bang qadr-e-mir aadhi rah gai
nim-baz aankhon ke qurban yun kanakhiyon se na dekh
ochhe waron se zad-e-har-tir aadhi rah gai
wo sarapa husn hai aur us ka ek ruKH hai siyah
chand se mahbub ki tabir aadhi rah gai
jab jawani josh par aai to wo ruKHsat hue
zindagi ke qasr ki tamir aadhi rah gai
ghaur se fitrat ne dekha baad-e-taKHliq-e-huzur
do jahan ke husn ki taKHmir aadhi rah gai
'sehr' un ki lantarani sun ke gosh-e-hosh se
aarzu-e-ashiq-e-dilgir aadhi rah gai
Ghazal
Rang uD kar raunaq-e-taswir aadhi rah gai
Sehr Ishqabadi